Ru b Ru Aate Hain Wo Mazi Ke Aaine Ki Tarah
Husn Parde Se NikalKar Nigahon Pe Chha Jati Hai
Uske Jalwon Ke Aagosh Me Saanse To Kya
Dhadkano Ki Raftaar Bhi Badh Jaati Hai
mazi- Past- अतीत
Mere Khwabon Ke Ujde Huye Se Manzar Me
Ashkon Se Likhe Gaye Kuchh Nagme Hain
Jin Lamhon Ne Diye Hain Ye Zakhm Ke Tukde
Un Tukdon Me Bas Teri Hi Parchhayi Hai
Marhale Shab Ke Guzarte Hain Sazde Me Tere
Har Pahar Teri Ibadat Me Kat Jaati Hai
Ye Jawani Ke Sitam Hain O Mere Sanam
Tere Is Dard Ko Sanjone Ki Kasam Khayi Hai
marhale shab ke- in the night- रात का वक्त
Mujhpe Aitbaar Kiya Tha Tumne Ek Din
Tum Bhale Hi Tod Do, Ham Kabhi Na Todenge
Tere Wade, Tere Kasmon Ko Chun-ChunKar
Apne Yadon Ki ye Kaliyan Sajaayi Hai
Hamne Socha Na Tha Ki Ek Din Ye Aayega
Teri Yadon Me Bas Apni Basar Honi Hai
Ye HakiKat Jab Hamko Nazar Aayi Hai
Teri Tasweer Apni Rooh Pe Banaayi Hai
Very nice dip
LikeLike
Dil ki dhadkan me tum ho to muje pyar aap ke aane se etwar to he
LikeLike
bahut hi khubsurat………..
LikeLike