Teri Khamoshi Kisi Sadme Ki Nishani Hai
Teri Aankho Me Gahre Jakhm Ka Pani Hai
Jo Gulabi Badan Me Dard Bhar De
Us Kante Ka Ek Naam Bas Jawani Hai
In Khuli Julfon Me Aawargi Si Lagti Hai
Teri Bikhri Laten Teri Tarah Deewani Hai
Rog Aisa Hai To Marham Jane Kya Hoga
Dil e Nadan Ki Ye Peer Bhi Anjani Hai
Laten- लटें- lock of hairs
Peer-पीर- Pain- दर्द